Maine tujhe dekha
	Dekhta raha, Dekhta hi gaya
	Phir mujhe chashma lag gaya
	
	Bolaa dukaan-daar, ke kyaa chahiye tumhain
	Jo bhii kaho ge merii dukaan per wo paoge
	  maine kahaa ke kutte ke khaane kaa cake hai
	  bolaa yahiin pe khaaoge yaa leke jaaoge
	
	Aaj phir aaye hitchkiyaan Dil-E-Nasaad mujhe
	Shayad us sokh ne bhul e se yaad kiya mujhe
	
	Aaakhain taras gaye tumhara khyal aa gaya
	Ab to chehra dikha do, naya saal aaa gaya
	
	Gul Gaye Gulshan Gaye, Gul Ke Patte Rah Gaye
	Sare Shayair Mar Gaye, Tum Ullu Ke Pathe Rah Gaye
	
	Paida hua Wakeel (advocate) to Shaitaan nay kaha
	Lo aaj main bhee Sahab-e-Aulad ho gaya.
	
	Jahaan gaaye the khushiyon ke taraane,
	Muqaddar dekhiye roye wahiin par
	Hue masjid se Gum juute hamaare,
	JahaaN se paaye the, khoye wahiin par
	
	Ghar ghar main diya jale
	To diwali mat samjho
	Agar main tera peeche paroon
	To mawali mat samjho
	
	Khud ko kar buland itnaa
	Kay Himaalay ki choti pe jaa pahunche
	Aur khuda tumse puche
	Abe gadhe, ab utrega kaise
	
	Janaza Mera Nikla, Duniya Dekh Ne Nikli
	Magar Woh Zalim Na Nikli, Jiske Liye Mera Janaza Nikla